Sunday, November 18, 2018

Aao aao sar ko jhukayen Aaqa ka rauza nazar aagaya

Aao aao sar ko jhukayen Aaqa ka rauza nazar aagaya 

Dil me ishq e Nabi ko jagayen Aaqa ka rauza nazar aagaya 

Meri aankhe hogi munawwar rauze ko jab dekhunga 
Dil ye khushi se bol uthega Aaqa ka rauza nazar aagaya 

Dil ki ye armaan hai Aaqa tayba ki un galion me 
Mere dil ko mai samjhau ke Aaqa ka rauza nazar aagaya 

Allah Allah unki jaali chumoon mai in honto'n se 
Shukr Khuda ka karte bolu Aaqa ka rauza nazar Aagaya 

Jald ghadi wo aayegi Rabb e Ta'ala ki rehmat se 
Dil ye Tameem ka bol uthega Aaqa ka rauza nazar aagaya.
Submit By Syed Tameem Ashraf Hussaini

No comments:

Post a Comment